11 May : National Technology Day In India (11 May 2020) Nuclear Bomb In India

क्या है 11 मई? 11 May भारत मे National Technology Day के रूप में मनाया जाता है। यह दिन इसलिए मनाया जाता है ताकि लोगो को विज्ञान में रुचि लेने के लिए प्रेरित किया जाए और ज्यादा से ज्यादा बच्चे विज्ञान की पढ़ाई करें। आज के कुछ समय पहले हमारा देश इतना आगे नही था विज्ञान में लेकिन आज उसने बहुत तरक्की कर ली है । इस बार 11 मई 2020 21 वां national technology day के रूप में मनाया जाएगा। क्यों मनाते हैं National Technology Day?  यह दिवस सिर्फ भारत मे ही मनाया जाता है क्योंकि इसी दिन 11 May 1998 में पोखरन में भारत ने अपना  पहला परमाणु परीक्षण किया था जो सफल भी हुआ था। इस परीक्षण के सफल होते ही भारत देश की तस्वीर ही बदल गयी। बड़े बड़े देश भारत को सलाम ठोकने लगे। और भारत विश्व का 6वां देश बन गया जिसके पास परमाणु हथियार था। क्या हुआ था 11 May 1998 को? इस दिन भारत ने अपना पहला सफल परमाणु परीक्षण किया था। ये काम चोरी से किया गया था क्योंकि भारत के पास इजाजत नही थी कि वो परमाणु बम बना सके लेकिन भारत को शक्तिशाली बनने से ये बात नही रोक सकी।                  

DIWALI KYU MANATE HAIN ?


DIWALI ka tyohar humare desh me bade utsaah se manaya jata hai. DIWALI 5 dino ka tyohaar hai ye dhanteras se shuru hota hai uske baad aati hai CHHOTI DIWALI, DIWALI , GOVARDHAN POOJA aur fir BHAIDOOJ. DIWALI ke pahle humlog apne ghar aur kaam karne ki jagah ki safai karte hain sath hi hum log naye kapde kharidte hain. Tarah tarah ki swadisht mithaiyaan banate hain aur gharo ko rang birangi battiyon se sajate hain. Aur jaise har tyohaar ke pichhe koi na koi dharmik kahani hoti hai usi tarah DIWALI manane ke pichhe bhi bahut sari dharmik kahaniyaan prachlit hain.


STORIES BEHIND DIWALI(DEEPAWALI)

1)- RAMJI KI AYODHYA WAAPISI

Hazaron saal purani baat hai. Ayodhya ke raja DASHARATH apni teen raniyon KAUSHALYA, SUMITRA, KAIKEYI aur char putron RAM, LAKSHMAN,BHARAT aur SHATRUGHAN ke saath hasi khusi rahte the. RAM sabse bade aur yogya the aur isi karan se raja DASHARATH ne unhein apna uttaradhikaari yaani successor ghosit kiya.Par ye baat rani KAIKEYI ko manzoor na thi. Unhone raja DASHARATH ko apne diye gaye vachano(promises) ki yaad dilayi. Unhe vachno ka vasta dekar RAM ko 14 saal ke liye Banvas bhej diya aur apne putra BHARAT ko raja banane ko kaha. Raja DASHARATH ko na chahte hue bhi KAIKEYI ki baat manni padi.RAM apne pita ke vachan ko pura karne ke liye Banvas chale gaye aur sath me patni SITA aur chhote bhai LAKSHMAN bhi chal diye. Wo wahin ban me hi rahne lage. Ek din ek rakshasi Surpanakha apna roop ek sundar aurat ke roop me badal kar us jungle me aayi. RAMji ko dekh kar wo RAMji ko pasand karne lagi aur unse shaadi karne ko kaha. RAMji ne kaha ki mai shaadi shuda hun tum mere chhote  bhai se puchho lekin LAKSHMAN ji ne bhi uske offer ko na kah diya. Usne is gusse me apne asli roop ko dhikhaya aur SITA ko marne ke liye daudi.LAKSHMAN ne gusse me Surpanakha ki naak aur kaan dono kaat diye.Surpanakha rote hue apne bhai RAVAN ke paas gayi jo ki rakshaso ka raja tha. Wo lanka me rahta tha , uske 10 sar the aur wo bahut budhimaan tha aur takatwar bhi.Usne iska badla lene ke bare me socha usne socha ki wo SITA ko apni patni banayega. Is kaam ke liye usne maarich naam ke ek rakshas ki madat li aur SITA ka apaharan(kidnap) kar liya aur apni lanka me le gaya.RAM aur lakshaman ne SITA ko bahut khoja par wo na mili.Raste me unhe bandaron aur bhaaluon ki sena mili jo RAM ji ki madad karna chahti thi.Unmein ek bahut hi balvaan bandar tha veer hanumaan jo bhagwan shiv ke avataar the. Wo lanka me gaye aur mata SITA ke bare ne khabar laye ki wo lanka me hain RAVAN ki kaid me. Aur fir RAMji apni sena ke sath mil kar samundar par pul banane lage jisse lanka pahunch sake. Fir lanka pahunch kar vanarsena aur rakshaso ke bich ladai hui jisme bhagwaan RAM ki jeet hui aur RAM ne RAVAN ko maar kar 14 saal ka vanvaas pura karke jis din laute to unke lautne ki khusi me logo ne diya jalaye aur khusiyaan manayi aur jis din wo laute the us din ko hi DIWALI ke roop me manaya jata hai.



2)- SHREE KRISHNA NE NARKASUR KO MARA

Aisa mana jata hai ki aaj ke din hi Shree Krishna ne rakshas Narkasur ka vadh karke logo ko uske atyachar se mukt kiya tha. Narkasur ne vardaan liya tha ki uska vadh sirf uski maa kar sake aur koi use na maar sake kyuki wo janta tha ki koi maa kabhi apne bacche ko nahi maregi. Aur wo bahut jyada atyachari ho gaya to DIWALI ke hi din Shree Krishna ne uska vadh kar diya tha.


3)-SOUTH INDIA ko chhodkar baki sabhi jagah baarish ka mausam ja chuka hota hai isliye sab apne ghar ki saaf safai aur rangai karke naya jaisa karte hain aur tab tak nayi fasal bhi taiyaar ho gayi rahti hai to uski pooja bhi kiya jata hai aur isliye ye tyohaar manaya jata hai.



टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

11 May : National Technology Day In India (11 May 2020) Nuclear Bomb In India

WHY WE CELEBRATE CHRISTMAS ? (FULL STORY)

होली मनाने का कारण(क्यों मनाते हैं होली?) होलिका दहन